mujassam taqaddus safedi mein duba badi shan se chhoti khidki mein aaya zamin par pade ek saron ke samundar ko nazron ka parshad de kar bahut aajizi se mahal ke kushada kisi kamre mein kho gaya yaqinan ibaadat ki khatir naya sal aaya masihai taza labon par saja kar chamakdar sone ki lathi sanbhaale zari ke libas-e-kushada mein malbus dhire se goya hua faqat aajizi hai ilaj badho dard ke maron ko badh ke thamo na chhute ye daman kabhi aajizi ka aqidat ka haala gale mein padi surkh shaal aur is par zar-o-sim-o-naqsh-o-nigar bahut bojh hai wo sanbhaale hue chhat aur hall aur surkh pardon pe hai wajd tari magar is se aari samundar ke par be-hangam uge khud-rau jangal ki aulad columbus ki naslon ke pairon tale kachchi mitti ke dher qabilon ke kide-makode zaminon ke bojh sanbhaale hue apne kanon ke aankhon ke kashkol jude dekhna chahte hain jo larzida akde hue hath ghisatte chale aae hain rengte rengte taqaddus ko apni muafi ki khairaat dene ke khush-fahm adab na-shanas