ishaaron ki rani sar apna hila kar aur aankhon ko matka ke botal dikha kar lubhati hai sau tarah se bar bar main har bar kahta hun mere liye to nahin ye to ek jhatke se cork uda kar ada se wo botal se ek daera meri aankhon ke aage bana kar mujhe phir dikhati hai magar main use be-tassur nigahon se takta hun wo mashrub shishe mein bharti hai aur aawaz us ki suna kar mujhe dekhti hai kan-ankhiyon se goya us aawaz par us ke shishe mein dhal jaunga main kahta hun qulqul hai achchhi par aisa bhi kya to wo chaude aur gahre saghar mein thodi gira kar mere munh ke nazdik la kar hila kar sunghati hai mashrub jo saghar kinaron ko chhuta hua sa bhanwar raqs karta hua jhumta hai bukharaat udte rijhate hain phir bhi rijhate kahan hain kabhi rang khush-rang mujh ko dikhati hai aur apne labon par kabhi zaiqon ke tasawwur mein dubi zaban pherti hai magar but bana main ye sab dekhta hun ye mashrub main pina kyon chahunga main kahta hun kyon tum ko lagta hai main pi hi lunga sanbhalta hua dekh kar hans ke kahti hai chakh ke to dekho ise chakkho ya tishnagi hi ko chakho magar tishnagi hi to main pi chuka hun to phir ye bhala kyon main kahta hun us se to wo sada rangin talkh aur shirin bhare khali sab pyale sharaben gilas aur sharbat kai botalen aur pani waghaira saja deti hai main kahta hun samjho main phir aur phir aur phir us se kahta hun samjho ye samjho mujhe pyas bilkul nahin hai