aao pyare bhag chalen aakash ke palle par jag ki rahen kathin hain pitam jiwan hai ek bhog bhog bhi kaisa jis ko duniya kahti hai ek rog man ki nayya dag-mag dole bich pade manjdhaar pyare bich pade manjdhaar aao pyare bhag chalen aakash ke palle par nagri hai ye pap ki pyare pap ka har-su aag aasha ki gar chahat howe dukh na is se lag jaane bujhe lag jo rakkhe phute us ka bhag dhang yahan ke nyare hain aur nyara hai sansar pyare nyara hai sansar aao pyare bhag chalen aakash ke palle par lobhi hain is basti wale maya ka byopar tan bhi ganda man bhi ganda neki ka parchaar pal pal bhaari padat hai moko dharti ka ye bar dekhat mora hirdai dube dube sab sansar pit ki duniya sab se sundar pit hi jiwan-haar pyare pit hi jiwan haar aao pyare bhag chalen aakash ke palle par