muflisi thi to us mein bhi ek shan thi kuchh na tha kuchh na hone pe bhi aan thi chot khati gai chot karti gai zindagi kis qadar murda maidan thi jo ba-zahir shikasta sa ek saz tha wo karodon dukhe dil ki aawaz tha rah mein girte padte sambhalte hue samraji ke tewar badalte hue aa gae zindagi ke nae mod par maut ke raste se tahalte hue ban ke baadal uthe desh par chha gae prem-ras sukhe kheton pe barsa gae ab wo janta ki sampat hai dhanpat nahin sirf do-chaar ke ghar ki daulat nahin lakhon dil ek hon jis mein wo prem hai do dilon ki mohabbat mohabbat nahin apne sandesh se sab ko chaunka diya 'prem' ne prem ka arth samjha diya fard tha fard se karwan ban gaya ek tha ek se ek jahan ban gaya ai banaras tera ek musht-e-ghubar uth ke meamar-e-hindostan ban gaya marne wale ke jine ka andaz dekh dekh kashi ki mitti ka eajaz dekh