main jis mein rahti hun mera ghar hai yahan ki diwar-o-dar ke andar meri jawani ke tane-bane har ek rag-e-sang mein rawan hain yahan pe nikhri hui safedi mere budhape ki aane wali sahar ka elan kar rahi hai yahan ki chhat mere dil se nikli hui dua hai jo bargah-e-khuda mein maqbul ho ke saya kiye hue hai yahan ki khidki yahan ke rauzan meri hi aankhon ke khwab hain kuchh mein raushni kuchh bujhe bujhe hain yahan pe kuchh log rah chuke hain yahan pe kuchh log rah rahe hain hamare mabain kya hai mazi ke rabte hain wo rabte jin pe sirf meri giraft mahfuz rah gai hai jabhi to aisa hua hai aksar main apne hathon ko khud jhatak kar nikal padi aise raste par jo baal se bhi mahin talwar ki tarah tund o murtaish tha main kat ke gir jaana chahti thi bikhar ke mar jaana chahti thi magar na-jaane mujhe hua kya! bajae is ke ki niche dekhun meri in aankhon ne pichhe dekha wahin jahan ek ghar khada tha wo jis ki khidki wo jis ke rauzan meri hi aankhon ke khwab the, kuchh mein raushni, kuchh bujhe bujhe the!!