nam mera hai gul-baadshah umr meri hai terah baras aur kahani meri umar ki tarah se muntashir muntashir mukhtasar mukhtasar meri be-nam be-chehra man be-dawa mar gai bap ne us ko burqe mein dafna diya us ko dar tha ki munkir-nakir meri amman ka chehra na dekhen waise zinda thi, jab bhi wo madfun thi bap ka nam zar-taj-gul umar battis baras wo mujahid shahadat ka talib rah-e-haq ka musafir hua aur jam-e-shahadat bhi us ne apne bhai ke hathon piya jo shumali mujahid tha aur panj-waqta namazi bhi tha masala is shahadat ka pechida hai is ko behtar yahi hai yahin chhod den ab bahar-haal baba to jannat mein hai us ke hathon mein jam-e-tuhur us ki banhon mein hur o qusur meri taqdir mein bam-dhamake dhuan pighalti hui ye zamin bikharta hua aasman baad-az-marg wo zinda hai zindagi mujh se sharminda hai 2 kal sar-e-sham dushman ne aate hue bam ke hamrah barsa diye mujh pe kuchh pile thaile jin se mujh ko mile gol roti ke tukde ek makkhan ki tikiya ek sharbat ki botal murabbe ka dabba is ke badle mein wo le gae mere bhai ka dast-e-mashaqqat jis mein minnat ka dora bandha tha meri chhoti bahan ka wo panw jis se rang-e-hina phutta tha log kahte hain ye amn ki jang hai amn ki jang mein hamla-awar sirf bachchon ko be-dast-o-pa chhodte hain un ko bhuka nahin chhodte aakhir insaniyat bhi koi chiz hai main dahakte pahadon mein tanha apne tarke ki banduq thame khada hun tamasha-e-ahl-e-karam dekhta tha tamasha-e-ahl-e-karam dekhta hun