zinda-dil punjab ke beto tumhein mera salam tum parastar-e-guru-nanak fida-e-kirishn-o-ram ye tumhaara des raja drupd ka panchaal des han wahi ranjit-singh ke daur ka khush-haal des nam-lewa jin ke tum ho un ki sirat be-misal un ki jurat be-misal un ki shujaat be-misal is mein sher-o-shaeri hai is mein raqs-o-rang bhi hir waris-shah ki bhi hai rabab-o-chang bhi wir-singh aur amrita-piritam yahan mahir yahan 'arsh' 'akhtar' 'josh' aur 'mahrum' se shair yahan shir-e-gul ke mu-qalam se khama-e-mani khajil is ki taswiron mein hai betab panjaban ka dil lajpat-rae yahin jam-e-shahadat pi gae jaane kitne qaum ki khatir mare aur ji gae sar-zamin-e-hind ka ye bazu-e-shamshir-e-zan jis ke mardan-e-jari hain shoala-bar-o-saf-shikan khetiyon mein jis ke barakat jis ke khaliyanon mein nur jis ke baghon mein iram bas ke pahadon par hai tur jis ke mard-o-zan ka hissa-e-khub-rui ka jalal jin ke chehron par chhidakti hai tawanai gulal bhakda-nangal ki jis ne be-badal tamir di apne farzandon ko jis ne khubi-e-tadbir di jo masaib is ne jhele hain unhen jhelega kaun khel jo himmat ke khele us ne wo khelega kaun zakhm jis ne apne sine par liya taqsim ka chaak jis ne apne hathon se siya taqsim ka han usi khush-waqt khak-e-pak ke bete ho tum mein na manunga ki aql-o-fahm ke hete ho tum main na manunga kudurat fitrat-e-punjab hai mera nara hai mohabbat fitrat-e-punjab hai