main jab basti ki sarhad par khada ho kar ufuq mein dubti rahon ko takta tha to wo ro ro ke kahti thi mujhe dar hai tujhe ye na-taras rahen na kar dalen juda mujh se main apni nim tarsan ungliyon se us ke aansu ponchh kar kahta tha ab kaisa juda hona magar main dil mein darta tha ki in rahon se waqif tha inhi rahon pe chal kar is dayar-e-ghair mein aaya tha aur ye soch baitha tha ki ye mere safar ki aakhiri manzil hai ye inam hai mera magar har-dam ufuq mein dubti rahen sunahre baadalon ki raushnai se hawa mein kuchh purani bastiyon ke nam likhti thin use ek roz main ne kah diya mujh ko mare ajdad ka madfan bulata hai meri jaan mujh ko jaana hai magar tujh bin na jaunga wo ek but ki tarah sar ko jhukae chup rahi lekin khamoshi ko zaban kahte to sab kuchh kah gai mujh se jo aansu us ki palkon se gire the khushk mitti par unhen main ne tadapte sochte aur bolte dekha phir ek shab us ke pahlu se main uttha aur ufuq mein dubti rahon pe chalta apne aaba ki us mitti ki khushbu ke taaqub mein chala aaya jo mere khwabon mein palti thi mujhe pahlu se gum pa kar wo sada be-zaban ladki magar kya sochti hogi