purana coat

bana hai coat ye nilam ki dukan ke liye
sala-e-am hai yaran-e-nukta-dan ke liye
bada buzurg hai ye aazmuda-kar hai ye
kisi mare hue gore ki yaadgar hai ye
na dekh kuhniyon pe is ki khasta-samani
pahan chuke hain ise turk aur irani
bada buzurg hai ye go qalil qimat hai
miyan buzurgon ka saya bada ghanimat hai
jo qadr-dan hain wo jaante hain qimat ko
ki aaftab chura le gaya hai rangat ko
ye coat coaton ki duniya ka bawa-adam hai
agarche hai wo nigah jo nigah se kam hai
guzishta sadiyon ki tarikh ka waraq hai ye coat
kharido is ko ki ibrat ka ek sabaq hai ye coat
This is a great gore rang par shayari. True lovers of ranjit bawa shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore pathan shayari funny. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close