samundar chandni mein raqs karta hai parinde baadalon mein chhup ke kaise gungunate hain zamin ke bhed jaise chand taron ko batate hain hawa sargoshiyon ke jal bunti hai tumhein fursat mile to dekhna lahron mein ek kashti hai aur kashti mein ek tanha musafir hai musafir ke labon par wapsi ke git lahron ki subuk-gami mein dhalte dastan kahte jaziron mein kahin bahte purane sahilon par gunjte rahte kisi manjhi ke naghmon se gale mil kar palatte hain tumhaari yaad ka safha ulatre hain abhi kuchh raat baqi hai tumhaara aur mera sath baqi hai andheron mein chhupa ek raushni ka hath baqi hai chale aana ki hum us aane wali subh ko ek sath dekhenge