kam se kam chaar misre hain qita suno lutf le le ke ashaar is ke padho lo suno mujh se tum aaj qite ka haal is mein hota hai ek markazi sa khayal 'shad'-o-'akhtar' ke mashhur qite hue mar ke wo apne qiton mein zinda rahe har kisi ko nahin aata qite ka fan hai alag bachcho ye ek tarz-e-sukhan ibtida mein na qita ka fan aaega ye miyan khud hi do sher ban jaega qite dilkash kaho mukhtasar bahr mein honge mashhur ye fikr ke shahr mein tifl-gan ke liye tum bhi qite kaho aur 'hafiz' ji ustad ban ke raho