kargar ho gai ahbab ki tadbir ab ke mang li aap hi diwane ne zanjir ab ke jis ne har dam mein aane mein takalluf barta le udi hai use zulf-e-girah-gir ab ke jo sada husn ki aqlim mein mumtaz rahe dil ke aaine mein utri hai wo taswir ab ke khwab hi khwab jawani ka muqaddar the kabhi khwab se badh ke gale mil gai tabir ab ke ajnabi khush hue apnon ne duaen mangin is saliqe se sanwari gai taqdir ab ke yar ka jashn hai aur pyar ka tohfa hain ye sher khud-ba-khud ek dua ban gai tahrir ab ke