ret mutthi mein kabhi thahri hai pyas se us ko ilaqa kya hai umr ka kitna bada hissa ganwa baitha main jaante bujhte kirdar darame ka bana aur is rol ko sab kahte hain hoshiyari se nibhaya main ne hansne ke jitne maqam aae hansa bas mujhe rone ki saat pe khajil hona pada jaane kyun rone ke har lamhe ko tal deta hun kisi agli ghadi par dil mein khauf o nafrat ko saja leta hun mujh ko ye duniya bhali lagti hai bhid mein ajnabi lagne mein maza aata hai aashna chehron ke badle hue tewar mujh ko haal se mazi mein le jate hain kuhniyan zakhmi hain aur ghutnon par kuchh kharashon ke nishan sondhi mitti ki mahak khinche liye jati hai titliyan phul hawa chandni kankar patthar sab mere sath mein hain sans be-khaufi se leta hun main