pyasi ruh

pyasi ruh ko bolte kis ne suna hai
telewision ke parde par jo taswiren sunte ho

wo bhi nazar ka dhoka hai
main to apni band aankhon ke andar pura t w station chalte phirte

dekhti hun
phir dekhna aur kuchh kahna donon baaten ek nahin hain

waise bhi to hum ko dekhne wale
apne apne lens se dekh ke

apne tain hamare bare mein rae likh liya karte hain
hum kya hain kya yahi batlane logon ko hum is duniya mein aae hain

par pyasi ruh ko bolte kis ne suna hai
kis ne dekha hai

kis ne ghup andhere ki khushbu ko chakha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close