pyas

ji mein hai ki jal-thal barsun
par ye aansu kis kis nam se roungi

ek aansu par nam hai us ka
jis ke hath sawali hain

ek aansu hai us ke nam
jo sardi mein kohar-zada un sadkon par bhukon marta hai

ye lambi kali caron mein kaun si duniya baithti hai
kya nam hai un ka kaun hain wo

kya bechte hain
aur surkh gulabi honton par ye git hain kyon

par tat ke pichhe hairan hairan zard se chehre
aankhon mein sapnon ke rauzan

sapne mithi roti ke
har raat ko chhup kar aate hain

aur din ko
ghar ghar ghi se lithde chini ke bartan ko dhone ki khatir

kaun bhala ab pani garm kare
rakh ujde sapnon ki

aur namkin garm pani in aankhon ka
begam sahiba ki ghar ki

aur sahab ki lad bhari aankhen
logo

un se kab sindur bhari mangon aur chhan-chhan karti rang-birangi
chudiyon ko phir ji bhar ke dekha hai kabhi

ye lo pani baras raha hai
pani khaara mitha aur kasila pani

dhuan ban kar gale mein atak raha hai
thoda khans hi lo

ye chahat hi phanda ban kar aansu ke raste se nikle
har aansu kis kis nam ke

is ke us ke
apne tumhaare kal ke aaj ke ya phir aane wali kal ke

jo saf salet ki manind gum-sum hai
aur main sare samundar aansu pi kar pyasi hi rah jati hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close