khuda ke khauf se apne gunahon par khajil ho kar wo paiham girya karta tha wo apne bhai ke lashe pe paiham girya karta tha lahu aawaz deta tha zamin ki khak ruswa se khuda ka arsh kanp uthta tha is fariyaad ko san kar baradar-kush saza pate the patthar ban ke jite the aur un ke dil ki dhadkan band ho jati thi sinon mein aur un ka khun in ki sard sharyanon pe hansta tha magar is daur mein koi khuda aisa nahin karta ki ab shahron ki haalat agle sahraon se behtar hai ki ab shahron mein mar o azhdar o kargas nahin milte kutub-khanon mein afkar-o-aqaed jalwa-farma hain hazaron dars-gahen dai-e-aqdar-e-insan hain siyah sadkon pe karen hain fazaon mein hain tayyare imaraat-e-buland apne falak-paima darichon se makodon ki tarah chalte hue jismon ko takti hain hamare shahr maman hain hamare shahr gulshan hain ab in shahron mein farsuda khuda ki kya zarurat hai khuda khamosh hai aur khauf-o-gham se nim-jaan insan hawa ki lahr ko bhi maut ki aahat samajhte hain kisi ko kuchh nazar aata nahin lekin koi jazba ye chupke chupke kahta hai ki ai habil ai habil halakat ke nae saman se aarasta ho kar gali-kuchon mein aa pahuncha hai phir qabil ka saya