chalte jata hun us ki bahen thame wo thakta nahin main rukta nahin hun bachpan se sath hun badle hai rang kai us ne aur main ne aksar tanhai mein hum sath hote hai wo patto se lada hua kabhi dhup mein jalta hua barsat mein na chahe bhigta hua wo rasta jo mere ghar se nikal kar dur jangalon mein jata hai wo aaj bhi tanhai mein mera sath nibhata hai us se bachpan ki kitni yaaden hai judi mere paida hone par wo mitti ka tha wo mujh ko patakta main use patakta tha akasr aapa-dhapi mein hum donon lal-pile ho jate the ek bar zor se patak diya tha main ne use kuchh kharonche aai mujhe us ki bhi kalai chhil gai thi donon mil kar sath chikhe the wo rasta jo mere ghar se nikal kar dur jangalon mein jata hai wo aaj bhi tanhai mein mera sath nibhata hai mere sath wo bhi kapde badalne laga lal se pila pile se inte ka inte se patthar ka patthar se damar ka ho gaya badalte samay ke sath main aur rasta badal gaya lekin lekin hum aaj bhi sath chalte hai wo rasta jo mere ghar se nikal kar dur jangalon mein jata hai wo aaj bhi tanhai mein mera sath nibhata hai is bar jab us se milne gaya to bada dukhi tha wo kahta hai purani damar sukhti nahin ye nai udel dete teri surkh yaado ko khan kar kahi dhakel dete hai wo rasta jo mere ghar se nikal kar dur jangalon mein jata hai wo aaj bhi tanhai mein mera sath nibhata hai