shahzada lipatta hai mujh se aur dur kahin chidiya ko sanp nigalta hai sanson mein ghulti hain sansen aur! zahr utarta jata hai lamhat ke nile qatron mein kanon mein mere ras gholta hai shabdon ka milan! aur man bhitar ek chikh sunai deti hai jalti poron mein kanpti hai be-maya lams ki khamoshi us ke hathon se likhti hun main ishq-badan ki mitti par us ki aankhon ke goristan mein dekhti hun ek qabr nai aur shahzade ke sine par sar rakh kar so jati hun