tujhe izhaar-e-mohabbat se agar nafrat hai tu ne honton ko larazne se to roka hota be-niyazi se magar kanpti aawaz ke sath tu ne ghabra ke mera nam na puchha hota tere bas mein thi agar mashal-e-jazbaat ki lau tere rukhsar mein gulzar na bhadka hota yun to mujh se huin sirf aab-o-hawa ki baaten apne tute hue fiqron ko to parkha hota yunhi be-wajh thitakne ki zarurat kya thi dam-e-rukhsat main agar yaad na aaya hota tera ghammaz bana khud tera andaz-e-khiram dil na sambhla tha to qadmon ko sambhaala hota apne badle meri taswir nazar aa jati tu ne us waqt agar aaina dekha hota hausla tujh ko na tha mujh se juda hone ka warna kajal teri aankhon mein na phaila hota