duniya se kar ke pyar lagaenge qahqahe gham par hazar bar lagaenge qahqahe duniya hansnegi apni himaqat pe jab kabhi hum aur be-shumar lagaenge qahqahe kuchh gham nahin hai hum ko zamane ka dosto patjhad ho ya bahaar lagaenge qahqahe ghar wale is maraz se pareshan hun to kya be-wajh bar bar lagaenge qahqahe dekhenge hum latifon bhare khwab raat bhar phir subh mil ke yar lagaenge qahqahe kuchh fikr pas fail ki hum ko nahin huzur hun imtihan hazar lagaenge qahqahe do din ki zindagi mein rahe kyon udas dil jab honge be-qarar lagaenge qahqahe daddy lagenge rail ka engine hamein 'niyaz' sulgega jab sigar lagaenge qahqahe