yunhi kabhi kabhi sanglakh chattanon se guzarte hue ek lahraata hua dariya soch mein utar aae to mujhe kamzor na samajhna zindagi ab to taqriban aadi ho chuki hai diwaron se baat karne ki un ke bich agar kabhi koi chehra dikhai pad jae to mujhe wahmi na samajhna chhoti chhoti rifaqaten sanbhaal rakhne wale jab rishton ke nam par pile pad jaen to unhen muaf kar dena chahiye tanha rahne ki achchhi aadat banane mein dher sari buri aadaton ko tyagna padta hai mithe shabdon ko tah mein utar kar zahr ki bunden talash karni padti hain sare chehron ko ulat palat kar padhna padta hai sachchai se bhagte hue ulte qadmon use chhu kar aag se guzarne ka aanand lena padta hai itni mehnat ke ba'd agar koi bharpur ji raha ho to us ki sansen ginne ke bajae us ki umr nap lena