wirasat

tumhein tumhaare ghar se
bina notice ke nikal diya gaya

muqaddas kitab ki boli lagai gai
tasbih ke dane bikher diye gae

ja-namazen hamesha ke liye tah kar di gain
jaane itne barson ek parae ghar mein

kyon pade rahe tum
tumhein to us dam hi chal dena tha

jab raaton raat ek chor ne
tumhaare aangan mein sendh lagai thi

jab tumhaare ghar ki inton par se
tumhaara nam mitaya ja raha tha

tumhaare mimbar ke niche
qabl-e-masih ke bij talashe ja rahe the

tumhaare darwaze ke bahar khada
koi aur

tumhaare ghar mein apna ghar dekh raha tha
us ne apne bap ke waste

raj-mahal chhod diya tha
tum ne apne bachchon ki khatir

apna ghar kyon nahin tyag diya
jo tumhaare ghar ke malbe par

apne apne nam ki takhti lagana chahte hain
un se kah do

ki tum ne aur is suryawanshi ne
unhen apni wirasat se

kab ka aaq kar diya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close