qaid-e-tanhai

dur aafaq pe lahrai koi nur ki lahr
khwab hi khwab mein bedar hua dard ka shahr
khwab hi khwab mein betab nazar hone lagi
adam-abaad-e-judai mein sahar hone lagi
kasa-e-dil mein bhari apni subuhi main ne
ghol kar talkhi-e-diroz mein imroz ka zahr
dur aafaq pe lahrai koi nur ki lahr
aankh se dur kisi subh ki tamhid liye
koi naghma, koi khushbu, koi kafir surat
be-khabar guzri, preshani-e-ummid liye
ghol kar talkhi-e-diroz mein imroz ka zahr
hasrat-e-roz-e-mulaqat raqam ki main ne
des pardes ke yaran-e-qadah-khwar ke nam
husn-e-afaq, jamal-e-lab-o-rukhsar ke nam
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close