qaid-e-hayat o band-e-gham

aakhir-e-shab ki udasi nam fazaon ka sukut
zakhm se mahtab ke rista hai kirnon ka lahu
dil ki wadi par hai be-mausam ghataon ka sukut
kash koi gham-gusar aae madaraaten kare
mom-batti ki pighalti raushni ke karb mein
dukh bhare naghme sunae dukh bhari baaten kare
koi afsana kisi tuti hui mizrab ka
fasl-e-gul mein raegan arz-e-hunar jaane ki baat
sip ke pahlu se moti ke juda hone ka zikr
mauj ki sahil se takra kar bikhar jaane ki baat
dida-e-pur-khun se kasa tak ki manzil ka bayan
zindagani mein hazaron bar mar jaane ki baat
adl-gah-e-khair mein pasang-e-shar ka tazkira
aaina-khane mein khal-o-khat se dar jaane ki baat
kash koi gham-gusar aae madaraaten kare
mom-batti ki pighalti raushni ke karb mein
dukh bhare naghme sunae dukh bhari baaten kare
This is a great mom shayari status. True lovers of dard bhare nagme shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore gulzar shayari on love. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close