ye mana bahut khubsurat hai lekin ye qalin phir bhi na main le sakunga bahut narm hai aur jazib-nazar bhi ki nazuk se phulon ne is ko buna ho zara is ke in surkh rangon ko dekho ki galon ki surkhi ho jaise nichodi ye golai ye naqsh aur zawiye sab bahut narm hathon se jaise bune hon ye is ke kinaron ki rangin jhaalar ki masum khwabon ki koi ladi ho zara is mahaarat ka aalam to dekho sabhi rang yakja hain phir bhi juda hain bahut hi munasib hai qimat bhi is ki ye qalin phir bhi na main le sakunga main masum bachchon ka qatil nahin hun