ghibat na karo

ek jawan ek mard-e-dana ke qarib
aaya aur minnat se bola ai habib

wo fulan ek dost hai jo aap ka
aap ko wo kahta rahta hai bura

sun ke ye us mard-e-dana ne kaha
ek hi ki bhai us ne to khata

kin khataen tin tum ne ek dam
hai mujhe us se siwa is ka alam

ek to ye dost ko dushman kiya
tum ne us se mujh ko yun bad-zan kiya

dusri khoya khud apna e'tibar
aur hue meri nazar mein aap khar

ki jo ghibat tisri ye hai khata
is se bhi naraaz hota hai khuda

ab to aise kaam se tauba karo
man lo meri khudara man lo

waqai 'jauhar' ka kahna hai baja
sach kaha hai us ne jo kuchh bhi kaha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close