qarib aao aur apni sansen mere badan ke taraazuon ko udhaar de do mere badan ke udas goshe taraazuon ke qadim maskan ye sochte hain ki kab parindon ki phadphadahat sukut ke kan mein bajegi bahisht-e-mauud apne sebon ki qashen mere banjar qadim honton pe kab dharegi tulu-e-hasti ka daera kab mere badan par muhit hoga main sard-khanon se aa raha hun qarib aao aur apni sansen mere badan ke taraazuon ko udhaar de do