an-ginat shamsi-nizamon ke bakhedon se agar ek zara fursat mile to meri aankhon ki namida kor par ashk-e-nadamat ki taraf bhi dekh lena jhilmilata ek sitara jaise istighfar ka koi wazifa ye zamin teri makhluqat ka adna sa zarra aur is zarre ka main juzw-e-haqir mera hissa nabz-e-maani ki khush-ahangi mein lafzon ko nachana apne hi ham-shakl jarsumon ki phailai hui bimariyon ke x-ray photo mere alfaz ghair duniya ghair is ka tajraba lafz ghair aahang ghair phir bhi mere kan mein phunka kisi ne jo bhi kuchh main kar raha hun jo bhi kuchh main likh raha hun wo meri takhliq hai main bhi apne aap mein takhliq-kar aur ye shaitan phunk mere sar mein chadh gai main ne apni ruh ko paniyon par chhe dinon tak be-takan jumbish mein paya lafz-e-kun ka wird kar ke aankh jab kholi to dekha ye zamin ye aasman raushni pani faza khushki darakht chand suraj kahkashan haiwan jin insan malak ek coras ban gae hain aur mujh par hans rahe hain mere aage pichhe sharr-e-ma-khalaq hai ai tulu-e-subh ke rab ek zara fursat mile to meri is gum-sum ana ko apne suraj ki zara si raushni aur aanch de dena aur kah dena meri makhluq ja meri nishani ban mujh se apni ruh ke ya ruh se mere guzarne ki kahani ban