jhulse ped jali aabaadi kheti sukhi khirman rakh hast-o-bud ka madfan rakh girte baam-o-dar ke liye galiyon ka aaghosh jaise ye diwaron ko the kab se wabaal-e-dosh bar hata to aaya hosh panghat aur chaupal bhi sune rahen bhi sunsan galiyan aur kuche viran jhonke sukhe patte rolen bikhri rakh udain rakh aur patte ban ke bagule apna nach dikhaen aur wahin rah jaen ye basti ab tod chuki hai hasti ki zanjir-e-giran aur quyud-e-zaman-o-makan waqt ke daku chakkar us ko bisat mutabiq lut chuke us ke liye mahaul-o-fiza ke sare bandhan tut chuke mazi-o-haal bhi chhut chuke kaun aae jo aa kar is mein zist ke rang bhare kheton ko sarsabz kare gali gali aur kucha kucha panghat aur chaupal khelte bachchon hansti jawani se kar de chonchaal zinda kar de mazi-o-haal