charag-e-ilm raushan hai haqiqat ki hawaon par hukumat kar raha hai ek goshe se fazaon par ye sar-sabzi-o-shadabi jo virani ka hasil hai ragon mein us ki poshida tamawwuj-khez ek dil hai abhi tak khak mein us ki hai josh-e-irtiqa baqi lahad par ghas ke patton mein hai nashw-o-numa baqi abhi tak anjuman mein gunj baqi hai sadaon ki abhi tak khelti hai khak se shokhi hawaon ki ye bazm-e-khwab-e-sarsayyad ye naqsh-e-azmat-e-rafta mai-e-isar se labrez hai ek jam-e-nurani mohabbat ki tarah aabaad rakkhega khuda us ko mita sakti nahin duniya-e-hadis ki hawa us ko main zauq-e-ilm le kar turbat-e-sayyad par aaya hun aqidat ke shagufta phul apne sath laya hun teri wahshat liye phirti hai garm-e-justuju mujh ko sukun-andoz hone ki bahut hai aarzu mujh ko fazaon mein mohabbat ki haqiqat aashna hun main ek aaghosh-e-adab mein parwarish pata raha hun main ba-qadr-e-zauq takmil-e-tamanna ki tamanna hai isi aaghosh mein mearaj-e-farda ki tamanna hai tamanna hai jahan-e-ilm mein chamkun saha ban kar jumud-e-zulmat-e-hasti pe chha jaun ziya bin kar tamanna hai ki duniya mujh se yaksar nur ho jae ye tariki simat kar ek din kafur ho jae tamanna hai ki sarsayyad banun ya 'shibli'-o-'haali' ki in arbab-e-mahfil ki abhi tak hai jagah khali ilahi khak-e-sarsayyad se kuchh chingariyan de de mazaq-e-dil tarasta hai tapish-samaniyan de de meri qismat mein is mai-khane ka saghar nahin yarab ewaz mein is ke mujh ko mashrab-e-pir-e-mughan de de jahan ek taer-e-sidra kisi din chahchahaya tha unhin shakhon pe mujh ko ikhtiyar-e-ashiyan de de jo mere saz-e-fitrat mein naya ek soz bharna hai tu 'jauhar' aur 'zafar' kaisi zaban-e-naghma-khwan de de mujhe darkar hai phir mulk-o-millat ki hudi-khwani 'nazir'-o-'shibli'-o-'haali' ka andaz-e-bayan de de ghubar-e-rah-guzar-e-dahr mein aaludgi kab tak mere zarrin tasawwur ko bisat-e-kahkashan de de dimagh-o-zehn mein ek jang barpa hai khayalon ki ise hamwar kar ke ek sukun-e-jawedan de de agar hai qafile ke sath chalna mera na-mumkin to mujh ko rahnuma kar de mujhe ek karwan de de zamin par panw phailane ki gunjaish agar kam hai mujhe baadal bana de sair ko ek aasman de de agar takhil-e-sarsayyad hai ab guldasta-e-mazi jawani ki umangon ko nai angdaiyan de de payam-e-kaamyabi de mujhe aiwan-e-rifat se main khali hath ja sakta nahin sayyad ki turbat se