ek adn jal raha tha nigahban khuda us ghadi satwen aasman par na tha aur azal se abad tak ahata kiye ek afi ki manhus aawaz thi aur khuda mere sham-o-sahar mein na tha mere ghar mein na tha aur khuda jo dabe panw khidki se pichhe hata jo mere sath suni sadak par ruka yak-ba-yak munfail hichkiyon mein bikharne laga ek jalal-e-rawan mere hamrah galiyon mein chalne laga aur khajalat ki ye raat ek sard patthar pe takiya kiye meri banhon mein banhen diye mere mabud ne qaharman karb mein kat di aur adn jal bujha zul-jalal aansuon ke tufail aaj bhi har nafas ek sulagta hua farz hai ek naya ghar muqaddas gharon ki qasam mere mabud par aaj bhi qarz hai