qasida kya hai

farsi arabi mein gunji is ki sada
shan mein baadshahon ki likkha gaya

lafzon ki shan-o-shaukat milegi yahan
ba-waqar is ka hota hai bachcho bayan

hai qaside mein tanz aur tarif bhi
kaifiyat is mein hoti hai ek nazm si

is mein dekhoge tum naqsha mahaul ka
paoge sheron mein saya mahaul ka

sinf hai ek purani qasida miyan
khas aur aam ki hai ye khud tarjuman

is ke ajza mein tashbib hai aur gurez
madh-o-zam muddaa aur dua naghma-rez

mahir-e-fan na ho gar qasida-nigar
to qasida na likkhega wo shandar

hai qaside mein sauda ka mashhur nam
ruh-e-sauda ko 'hafiz' hamara salam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close