pir-e-wamanda koi coat pe mehnat ki siyahi ke nishan naujawan bete ki gardan ki chamak dekhta hun ek raqabat ki siyah lahr bahut tez mere sina-e-sozan se guzar jati hai jis tarah taq pe rakkhe hue gul-dan ki mas-o-sim ke kason ki chamak aur gulu uljhe hue taron se bhar jata hai koele aag mein jalte hue kin yaadon ki kis raat mein jal jate hain kya inhi kanon ki yaadon mein jahan salha-sal ye aasuda rahe unhi be-ab darakhton ke wo jangal jinhen pirana-sari bar hui jati thi koele lakhon baras daur ke khwabon mein ulajh jate hain aaj shab bhi wo badi der se ghar lauta hai us ke alfaz ko in rangon se aawazon se kya rabt jo is gham-zada ghar ke khas-o-khashak mein hain us ko is mez par bikhri hui khushbuon ke jangal se gharaz aaj bhi apne aqide pe ba-dastur ba-zid qaem hai wo darakhton ke tanomand tane apne aainda ke khwabon mein asir gard-baad aa hi gae un ki rihai ka wasila ban kar khud se mahjuri-e-nagah ka hila ban kar aae aur chal bhi diye tul-e-alamnak ki dahliz pe rukhsat kah kar aur wo lakhon baras soch mein aainda ke mauhum mein khwabida rahe mere bete tujhe kuchh yaad bhi hai main ne bhi shor machaya tha kabhi khak ke bigde hue chehre ke khilaf lahn be-rang hua sun ke meri jaan bhi pukar uthi thi main kabhi ek ana aur kabhi do ka sahaara leta apni sathi se main kah uthta ki jago ai jaan harana tira-bayaban mein bhatakte hue patton ka hujum mera dar mujh ko nigal jaega mere kanon mein mere karb ki aawaz palat aati thi tujhe be-kar khudaon pe yaqin ab bhi nahin ab bhi nahin aaj bhi apne hi ilhad ki kursi mein pada unghta hun naujawan bete ke alfaz pe chaunk uthta hun tu ne bete ye ajab khwab sunaya hai mujhe apna ye khwab kisi aur se hargiz na kaho kabhi aahista se darwaza jo khulta hai to hans deta hun ye bhi is baat ki sarsar ki nai chaal naya dhoka hai phul ya pariyan banane ka koi nuskha mere pas nahin hai bete mujhe fardaon ke sahra se bhi afsun-e-riwayat ki lahak aati hai aag mein koele bujhne ki tamanna na karo in se aainda ke mitte hue aasar ubhar aaenge in guzarte hue lamhat ki tanhai mein kaisa ye khwab sunaya hai mujhe tu ne abhi nahin har ek se har ek se ye khwab kaho is se jag uthta hai soya hua majzub meri aag ke pas aise majzub ko ek khwab bahut khwab bahut khwab bahut aise har mast ko ek khwab bahut