qaumi tarana

ai mere hindostan jannat-nishan
bah rahi hain tere sine par wo shital naddiyan

khelta hai jin ki lahron par sururon ka jahan
jhumta hai jin sururon mein shabab-e-jawedan

pasbani jin ki karta hai himala sa jawan
ai mere hindostan jannat-nishan

tere baghon ki lahak se jhankti hai zindagi
zindagi wo maut ko bhi jis se ho sharmindagi

jis se hasil ho harim-e-ruh ko tabindagi
khuld-zaron ka hai tere gulsitanon par guman

ai mere hindostan jannat-nishan
tere parbat sim-o-zar ka gungunata aabshaar

tere chashme barbat-e-nahid ka zarrin tar
tere jangal khuld ke sapne ki sundar si bahaar

mast jhonkon ki zaban par madh bhari mausiqiyan
ai mere hindostan jannat-nishan

teri mastana hawaon mein jawani zau-fagan
zarre zarre se numayan tur ka sa bankpan

muskuraati hai fazaon mein nashili si phaban
teri wadi mein surur-o-kaif ki nahren rawan

ai mere hindostan jannat-nishan
baam-e-azadi ke khush-anjam zine ke liye

teri ulfat ke nashile jam pine ke liye
yani teri god mein aazad jine ke liye

bijliyan ban kar girenge ghair par hum na-gahan
ai mere hindostan jannat-nishan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close