khak mein khak mili aur hua qissa tamam aag mein aag mile to bhadke aab mein aab mile to machle khak mein khak mile aur ho sab qissa tamam jaise sae pe gira ho saya jaise chha jae sham garm pur-shor se din ka ye bhayanak anjam waqt be-rahm ghazabnak bala ka saffak waqt wo sail-e-rawan jis ke aage jo chale wo bhi mare jis se pichhe jo rahe wo bhi mare aur wo waqt ki taskhir ko nikla tha kabhi phir wo raste mein raha sham hui der hui khak mein khak mili us ko malum tha ret aaina hai aaina kaisa hai kirchi kirchi dhup aisi ki munderon se giri jati hai khwab se rang churana aag se khud ko bachana koi aasan to nahin waqt se aage nikalna hoga so wo nikla aur phir rang mein rang mila aag se aag jali khak mein khak mili zindagi khul ke hansi