khujuron ke pedon se thoda sa upar jawan mustaid chand tanha khada mere ghar mere shahr ki pahra-dari mein masruf tha chand ki narm doshiza kirnen mere waste nind ka jal sa bun rahi thin achanak fazaon mein anqarib chikhe zamin ki taraf bhuki chilon ki manind jhapte jhapatte rahe zaman-o-makan ek lamhe pe aa kar thahar se gae usi ek lamhe ne sari faza par kisi budhi bewa ki chadar uda di ki jis mein faqat maut ki hasraten thin aur agle hi lamhe ne badh kar sada di ye lamha jo hum se bichhad kar gira hai hamara nahin tha