ye chidiya jo pankhe se takra gai hai use to faqat aashiyana banane ki dhun thi use waqt ki pith se lakh do lakh salon ke girne ka andaza kab tha use kya khabar thi wo sarsabz ayyam murjha chuke hain wo insan se pahle ke shadab jangal jahan ghonslon aur udanon ke ma-bain dhaton ki parran faslen nahin thin uqabon ke par aaj bhi sarsaraen to masum chidiyon ke dil sahm jaen magar un ko malum kya hai ki qurb-e-qayamat ke aasar paida hain be-jaan lohe ko par lag gae hain