nazar uthaun to sang-e-marmar ki kor be-his safed aankhen nazar jhukaun to sher-e-qalin ghurta hai mere liye is mahl mein aasudgi nahin hai koi mujhe in safed patthar ke gumbadon se riha kirae main ek sada hun magar yahan gung ho gaya hun mere liye to unhin darakhton ke sabz gumbad mein shanti thi jahan meri baat gunjti thi