fasurda raat sitaron ke qafilon ko liye khamosh rahon ki khwabida mastiyon ko salam na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se tamam dahr pe saya-fagan ye raat jise kiya hai main ne muqaddar khayal-e-ghamgin ka ek ek ashk se rah rah ke jis ko dhoya hai udas udas surile surile naghmon se ek ek naqsh sanwara hai jis ke chehre ka kabhi jo lamha tasawwur se chhu gaya koi gham-e-khayal bana kar samo diya jis mein jo apne sath sitaron ke qafilon ko liye na jaane kaun si manzil ko hai rawan kab se ye aagahi ka koi khwab hi na ho warna nazar pukar uthegi ki ahl-e-fikr-o-khayal tamam soch isi raat ka andhera hai