mere kaleje ki rag rag se huk uthti hai mujhe meri har shikaston ki dastan na suna na puchh mujh se meri khamushi ka raaz na puchh mere dimagh ka har gosha dukh raha hai abhi faza-e-zulmat-e-mazi mein ai mere hamdam dhake dhake se meri kaamraniyon ke nishan udas udas nigahon ki shama se na tatol har ek ke sina pe bar-e-shikast hai is waqt tera khulus meri dastan ka unwan hai mere habib mujhe ab to apni mohlat de ki apne dard ko dil mein chhupa ke gham-khurda jahan se dur kahin us taraf nikal jaun wo dekh waqt ke chehre pe saf likkha hai ki ye shikast meri aakhiri shikast nahin