teacher ne ye puchha aa kar raat aur din hote hain kyunkar apni seat pe pappu uttha aur farrate se yun bola ye suraj ek raushan shai hai narangi si gol zamin hai dharti apni kil pe chakkar khati rahti hai har dam sar chaubis ghanton mein ek phera karti hai ye dharti pura chakkar khane mein jo hissa suraj ki jaanib hai rahta us hissa mein din rahta hai 'nawak' ne yun hi likkha hai is ki ulti samt andhera aadhe hisse mein hai rahta yani raat wahan rahti hai mujh ko to malum yahi hai