dasht-e-tanhai mein ai jaan-e-jahan larzan hain teri aawaz ke sae tere honton ke sarab dasht-e-tanhai mein duri ke khas o khak tale khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulab uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki aanch apni khushbu mein sulagti hui maddham maddham dur ufuq par chamakti hui qatra qatra gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam is qadar pyar se ai jaan-e-jahan rakkha hai dil ke rukhsar pe is waqt teri yaad ne hat yun guman hota hai garche hai abhi subh-e-firaq dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasl ki raat