raat kitni sahir hai gard se ate chehre badh ke tham leti hai apne narm hathon mein din ka shor kanon se phike manzar aankhon se chun ke phenk deti hai be-karan andheron mein muzmahil thake-mande ladkhadate jismon ko badh ke tham leti hai raat apni banhon mein raat kitni mahir hai jabr aur mashaqqat ki sakhtiyan bhulane mein dosti nibhane mein be-sukun zehnon ko loriyan sunane mein jagne sulane mein raat kitni mahir hai raat kitni behis hai us ki aastinon mein kitne sanp palte hain ta-sahar gunahon ke kaise daur chalte hain raat jaise gungi hai dekhti hai sara kuchh aur kuchh nahin kahti raat jaise bahri hai siskiyan nahin sunti hausla nahin deti jin ki kashtiyon ko gham zabt ke jazire par therne nahin deta jin ko bar-e-bad-bakhti zist ke samundar mein tairne nahin deta reg-e-sahil-e-shab par kaise sar patakhte hain raat jaise andhi hai aasra nahin deti dost hi nahin banti raat kitni behis hai