hamesha tum ne apna-ap apni jeb mein rakkha magar phir bhi kushada-dil kushada-dast kahlae lutaya tum ne khud par dusron ko mutthiyan bhar ke hamesha chahne walon ko afsun ki tarah barta magar aise saliqe se ki khud ko sarf kar ke bhi kisi ko gham nahin hota tumhaara sehr aisa hai ki jis par kaam kar jae kabhi phir kam nahin hota tumhaara rang jis par bhi chadhe maddham nahin hota