raat ka rahi

raat ki kali sadak par raushni ka daera
ek tanha chap jaise ho musafir ki sada

ye qadam pur-azm the us raushni ki samt mein
par hisar-e-raushni mein sust yun padte gae

tirgi ke is safar mein raushni ka ye padaw
rah-rau ke waste ek dawat-e-aram ho

raushni ki had pe ja kar is tarah thitke qadam
tirgi mein dubna un ko gawara phir na ho

ek siski ki tarah rukte hue phir chal pade
ek thake lahje mein badh kar kho gai qadmon ki chap


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close