shahr ki galiyon ke raushan zawiye raat ki tanhaiyon ke ham-safar aasman ke nile nile hashiye chand ki ranaiyon ke nauhagar tirgi lipti hui diwar se subh ki tabaniyon ki muntazir raston ke pech o kham bazar se laut kar aae hon jaise bar bar ek virani hai meri gham-gusar kuchh siyah kuchh surkh kuchh khakistari rang ke kutton pe ujli dhaariyan jin ki shiryanon mein shorida-sari aur daryuza-gari ka imtizaj ye saman aur raat ki jadugari chand ka le kar chali hathon mein taj