sham hi se thi faza mein kisi jalte hue kapde ki bisand aur hawa chalti thi jaise us ke zakhmi hon qadam dida-e-mahr ne anjaane khatar se mud kar jate jate badi hasrat se kai bar zamin ko dekha lekin is sabz lakir is darakhton ki hari bad ke par kuchh na paya koi shoala na sharar aur phir raat ke tannur se ubla pani tirgiyyon ka siyah fawwara dekhte dekhte taswir har ek chiz ki dhundlane lagi dur tak kale samundar ki humakti lahren hanpte sinon ki manind karan-ta-karan phail gain aur jab raat padi siskiyan ban gain jhonkon ki sada dam-ba-khud ho gae us waqt dar-o-baam jaise aahat kisi tufan ki suna chahte hon aanhken mal mal ke charaghon ki lawon ne dekha lekin is sabz lakir is darakhton ki hari bad ke par kuchh na paya koi shoala na sharar raat ke pichhle pahar na-gahan nind se chaunki jo zamin is ke honton pe thi ghamnak karah karb-angez karah us ke sine pe rawan boot lohe ke gumakte hue boot jis tarah kanch ki chadar pe ludhakti hui patthar ki silen har qadam ek nai chikh janam leti thi khak se dad-e-sitam leti thi