main us ko pana bhi chahun to ye mere liye na-mumkin hai wo aage aage tez-khiram main us ke pichhe pichhe uftan khezan aawazen deta shor machata kab se rawan hun barg-e-khizan hun jab main ukta kar ruk jaunga wo bhi pal bhar ko thahar kar mujh se aankhen chaar karega phir apni chahat ka iqrar karega phir main munh tod ke tezi se ghar ki jaanib lautunga apne naqsh-e-qadam roundunga ab wo dil tham ke mere pichhe lapakta aaega naddi nale patthar parbat phand aa jaega main aage aage wo pichhe pichhe donon ki raftar hai ek jaisi phir ye kaise ho sakta hai wo mujh ko ya main us ko pa lun