mezon ke shishon par bikhre khali jam ke gile halqe sigreton ke dhuen ke chhalle diwaron par tut chale hain sara kamra dhuan dhuan hai sari faza hai mahki mahki do ek dhundle dhundle sar hain jhuke hue be-sudh hathon par raat ka nashsha tut raha hai jab aae the is mahfil mein nae purane sab sathi the kaun kise pahchanega jab ek ek kar ke uth jaenge ye mahfil hai raat ke dam tak din nikle to aankh khulegi sab apne apne daman par lage hue dhabbe dho lenge apni apni na-dani par ya hans lenge ya ro lenge