ye mana chand lamhon ki rifaqat bhi bahut hai aaj kal lekin mere andar ka sannata kabhi dekho to jaanoge ki main kyun nind ki khamosh tariki se darta hun kai din se to main ne khwab bhi dar dar ke dekhe hain jo sannate ka aadi ho gaya ho us ke kanon ko khizan mein ped se tute hue patton ke girte waqt halki si tadapne ki sada bhi achchhi lagti hai ye mana main akela-pan to apna bant hi lunga magar koi adhura-pan mera bante to main jaanun safar mein zindagi ke main ne dekha hai agar milta bhi hai koi to chupke se kisi ek mod par wo chhod jata hai abhi to khair se manzil budhape ki nahin aai abhi to aur bhi kuchh mod aaenge budhape mein sahaare ki zarurat hone lagti hai ye milne aur bichhadne ki khalish hi ek sahaara hai jise dil man leta hai wahi hai e'tibar 'azar' agar ye bhi nahin hoga to phir ummid kya ho apne jine ki